Pc Driver Update Kaise Kare In Hindi

What is Driver? (Driver क्या होता है?)

Jaise Ek Car ko chlane ke liye ek Driver hota hai vese he aapke Computer ke jo Hardware hote hai, Unko chlane ke liye bhi ek Driver hota hai, yaha hum Driver ko Software bhi khe sakte hai.

How To Update Drivers? (Drivers को कैसे अपडेट करे?)

Dosto aap Aksar Internet pe search karte honge ki How To Update My Pc Drivers, Android USB Driver, Pc Driver Updater, Update All Drivers, Driver Downloader, Driver Scan Online, Aur Kuch log to Device Manager Mai jake Pc ke Drivers ko ek ek karke khud Update krne lagte hai, Par mai aapko bata du ki aapko ye sab krne ki koi jarurat nhi hai, Kyuki aaj mai jis Software ke bare mai baat karne vala hu vo aapke Computer/Laptop ke sabhi Drivers ko 1 Click mai Update kr dega.


Table of Contents

Best Driver Updater Software? ( सबसे अच्छा Driver Updater सॉफ्टवेयर?)

Vese To Internet pe aapko bhut sare Driver Updater Software mil jayege, Par jo mere duara Test kiye gaye hai unmai se kuch ke Names mai niche de raha hu.

    1. Driver Booster
    2. Driver Easy
    3. DriverHub
    4. Ashampoo Driver Updater

Vese to App En 4 Driver Updater mai se kisi bhi Software ka use kr sakte hai, But mere Durara Test karne par Jo Sabse Best Driver Updater Software hai, Vo Driver Booster hai, Kyuki Baki sabi Driver Updater se Eski Driver ko Download aur Install krne ki Speed sabse aachi hai.

To Aaj hum Driver Booster ke bare mai baat karenge, Ki ye Software kaisa hai, Kaise kaam krta hai, Esmai Kya kya Option hume mil jate hai aadi.

To Jesa ki aap log jante hai ki hum hamare Pc/Laptop mai bhot type ke Drivers use krte hai but kuch Drivers humare duara install kiye jate hai or kuch pehele se installed hote hai par aksar hum in Pc Drivers ke Outdated versions use krte rehete hai jo humare PC ki Performance ko slow kr dete hai aur saat me Updated na hone k karan enme kuch kamiya bhi hoti hai.


Pc Driver Update Kaise Kare In Hindi

To aaj me aapko ek ese PC Software/Driver Updater ke bare me batauga jo appke PC/Laptop k sabhi Pc Drivers ko Updated rakhega jisse aapke PC/Laptop ki Performance new jesi bani rahegi aur aap Latest Updated Drivers ka use kr sakege to es Software ka main benefit ye hai ki aapko kisi bhi Pc Driver ko Update karne k liye kahi aur nhi jana hoga mtlab aap single click me aapke Outdated Drivers ko Update kr sakte hai.


Driver Booster काम कैसे करता है?

Jesa ki Aap sab log jante hai ki har Website ya Software ke liye ek Database hota hai jisme ye Pc Driver save hote hai aur jese he hum es Software ka use kr ke hamare Pc/Laptop ko Scan krte hai to ye hamare PC/Laptop me installed Drivers k versions ko check krta hai aur jese he ese koi bhi Driver Outdated milta hai to ye use Update krne k liye hume Notification deta hai uske baad hum us Pc Driver ko Update kr sakte hai.


Drivers ko Update krne k liye 2 Options milte hai jsme ek Automatically Update ka hota hai aur dusara Manually Update ka hota hai jo ki hume By Default milta hai agar hume kisi bhi Pc Driver ko uske new Update aane par Automatically Update krna hai to hume Automatically Update Option ko "ON" krna hota hai uske baad ye Software Drivers k new Update aane par unko Automatically Update kr deta hai.


Driver Booster Ka Use Kr k Hum

    1. Monitor Driver Update
    2. USB Driver Update
    3. Mouse Driver Update
    4. Keyboard Driver Update
    5. Gamepad Driver Update
    6. MotherBoard Driver Update
    7. Processor Driver Update
    8. Audio Driver Update
    9. Video Driver Update
    10. Graphics Card Driver Update
    11. Android ADB Driver Update
    12. Network Cards Driver Update
    13. HardDisk Driver Update

Aur bhi Type k Pc Driver Update kr skte hai aur hamesh Latest Drivers ka use kr sakte hai.


To ab aap sab jan chuke honge ki Driver Booster kesa Software hai aur kese work krta hai to ab me aapko batata hu ki ese kese use krna hai.



Scan Button

Ab aap Dashboard pe ek Scan Button dek rahe hoge jispe click krne pe Aapke Pc/Laptop me jo bhi OutDated Drivers hai unko Scan kiya Jayega aur aapke samne OutDated Drivers ki Information show kr di Jayegi, Jesa ki aap niche dek sakte hai aur is samay aapka Internet Connect hona Chahiye.



Pc Driver



Update Now Or Update

Jesa ki aap Niche dek sakte hai ki 1 update Available dekha raha hai jo ki Portable Devices k liye hai to yaha app ke pass 2 options hoge Update Now aur dusara Update aagar aap Update Now pe Click krte hai aur aagar 1 se jada updates Available hote hai to vo sabhi ek saat update ho jayege aur aagar aap keval Update pe click krte hai to keval vo hi Driver update hoga jise aap update krna chhate hai, to ab aap jan chuke hoge ki Pc Driver ko update kese krna hai.


Pc Driver



Updating & Installing

Ab jese hi app Driver ko Update Karege vo Update hone k baad Automatically Installed hojaye ga aur kuch Pc Driver jine Restart ki jarurat hoti hai unke update aur install hone k baad aapko ek Restart ka Button dekne ko mil jayega jispe aapko click krke apne PC ko Restart krna hoga.



Pc Driver


Final Result

Ab Aapko ek Final Message Dekne ko milega jisme "Updated Successfully" likha hoga eska mtlab ye hoga ki aapke PC/Laptop k Sabhi Drivers Update Ho chuke hai.



Pc Driver



Ab aapko kuch bhi krne ki Jarurat nhi hai ab jese he koi bhi next update aayega aapko ye Software aalag se Notification Provide kr dega ki konse Driver ka Update Available hai.



License

Ab hum Driver Booster k License k bare me baat kr lete hai, To jesa ki aap sab log jante hai ki har Software Free nhi hota hai hume uska Trial Version he milta hai jo ki 30 Days k liye ya 7 Days k liye hota hai, Par me aapko es Software ko Unlimited Times kese use krna hai uske baare me batata hu.


To eske liye aapko internet pe jake Ye Search krna hai ki "Free License key for Driver Booster" but aapko yha ye Dhiyaan rakhna hai ki aap ko License key Search krte Samay Version Bhi Dena hoga jese ki mai abhi Version 10.3 use kr raha hu to muje Search krte samay "Free License key for Driver Booster 10.3" likhna hoga.


Jese hi aap Search karege aapko bhut Sari Websites Show hogi jispe Appko Free License key mil jayegi aapko yaha pe kuch keys esi bhi milegi jo work nhi karegi but aap Thoda Search karege to aapko pakka ek key mil jayegi jo 100% work Karegi, Mai bhi es Software ko Pichale 1 Year se ese hi Free License key ka use kr ke use me le raha hu.



Input License Key

Ok Dosto ab aap samz chuke hoge ki aap ko License key kese Find Krni hai to ab me aapko ye bhi bata deta hu ki aapko License Key kaha par Dalni hai.


To eske liye aapko iobit Driver Booster Ko Open Krna hoga fir aap ko Dashboard pe Niche ki aur Manage License likha hua dikega jispe aap ko click krna hai jese hi aap click karege ek Window Open ho jayegi, jise aap niche dek sakte hai.




Pc Driver


Ab aapko Refresh Button pe Click krna hai joki uppar image me dikh raha hai, jese he aap Refresh Button pe Click karege ek aur Window open hogi jise app niche image me dek sakte hai.



Pc Driver


Yaha pe Jo TextBox Dikh raha hai usme aap ko License Keys fill krke Dekhni hogi aur Activate Button pe Click krna hoga eske liye bhi aapka Internet Connect hona chahiye jese he aap Activate Button pe Click karege aapko ek new Window me message milega "The License has been Activated Successfully" jise aap niche di ja rahi image me dek Sakte hai.



Pc Driver


To dosto ab aap samz gaye honge ki aap es Software ko Unlimited kese use kr sakte hai. 


Ab aap Download Now Button pe click karke es Software ko Download kr sakte hai jese hi aap click kare ge aap Software ki Official website pe chale jayege fir aapko ek Free Download ka button milega jese hi aap us button pe click karege Downloading Start ho jayegi uske baad aap es Software ko jese ek Normal Pc Software Install kiya jata hai vese install kr skte hai.


To Jis PC Software ki hum uppar baat kr rahe hai uski Details mere duara niche di ja rahi hai.



Software Link
Driver Booster 


आज आपने क्या सीखा?

Dosto aaj humne ye sikh liya ki hum hamare Computer ke Drivers ko kese Update kr sakte hai, Aur Update krne ke liye Best Software konsa hai, Aur es Post ki Help se humne ye bhi Sikha ki ek Driver Updater kaise Work krta hai.

Ok Dosto Fir milege ek new Blog Post k Saat, I hope aapko mera ye Blog aacha laga hoga aagar aacha laga ho to comment krke bataye aur aap next blog kis Topic pe chhate hai vo bhi hame bataye aur mere es Blog ko jada se jada visit kare.

Hum aapse Vada krte hai ki Aise he kaam ki Jaankari hum aapko dete rahege, aur aagar aapko hamara Blog aacha laga to Please es Blog Ko Subscribe kr le jisse jese he hum koi new Post Publish kare aapko uska Notification Mil Sake.



FAQs For Driver Update


What is Driver Booster? (Driver Booster क्या है?)

Driver Booster ek Software hai jiska use krke hum hamare Computer ke kisi bhi Driver ko Update kr sakte hai.

Why Update Drivers? (Drivers को अपडेट क्यों करें?)

Drivers ko Update krna esliye Jaruri hai Kyuki Drivers ko Updated rakhne se Hamara Computer shi se work krta hai saat he aagar Purane Driver mai koi Error hoti hai to vo bhi Fix ho jati hai.

is Driver Booster Fast?? (क्या Driver Booster तेज है?)

Yes: Driver Booster Dusare kisi bhi Driver Updater Tool ki Tulna mai, Kafi Speed se Drivers ko Update krta hai.

is Driver Booster Free? (क्या Driver Booster फ्री है?)

NO: Driver Booster bhi Sabhi Driver Updater Tools ki Tarha Free nhi hai, Par aap Mere es Post ko Pad ke ye jaan sakte hai, Ki es Software ko Unlimited Times Free Kaise Use kr Sakte hai.

is Driver Booster a Virus? (क्या Driver Booster एक वायरस है?)

NO: Aapne dekha hoga ki aapka Antivirus Driver Booster mai, Virus Show krta hai, Par mai aapko Bata du ki wo Virus nhi hai bs ek Warning hai, Jisse aapke Computer ko Koi Problem nhi hogi.





😊Thank You Visit Again😊

No comments